Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki tazeem ( Sahaba Radi-Allahu-Anhu and Respect of Prophet peace be upon him)

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki tazeem ( Sahaba Radi-Allahu-Anhu and Respect of Prophet peace be upon him)


Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'ala Rasulillah.

Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu..

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Mafhum-e-Hadith: Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki tazeem
( Sahaba Radi-Allahu-Anhu and Respect of Prophet peace be upon him)


Qais bin Makhramah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam haathiyon waley saal (yani jab Abraha apney haathiyon ke lashkar ke saath kaba shareef ko giraney ja raha tha tab Allah taala ne Ababeelo ke jariye usey tabah kiya tha jiska zikr Quran kareem mein Surah feel mein hain) mein paida huye , Uthman Radi-Allahu-Anhu ne Qubath ibn Ashyam Radi-Allahu-Anhu ko pucha ki Aap badey ho ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam , to unhoney
ye kaha ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam badey hain, lekin mein Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam se pahley paida hua hu

Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1551 ( Hasan)



Note: Allahu Akbar, Ulma is hadith ka hawala detey huye kahtey hain ki Asahab-e-karam Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ka itna Adab (respect) kartey they ki umar mein badey honey ke baawajud bi unhoney Apney aapko Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se bada kahna bhi gawara nahi samjha.
-------------------------------------

English Translation:

Qais ibn Makhramah Radi-Allahu-Anhu narrated: I was born, as was the prophet Peace be upon him in the year of the Elephant ( when the Abraha was going to attack on kaba with the elephants and Allah sent the birds Ababeel to destroy them and its mention in Surah Feel) . Uthrnan ibn Affan Radi-Allahu-Anhu asked Qubath ibn Ashyam of Banu Yamar ibnLayth, Are you senior or ALLAH's Messenger Peace be upon him He said, ALLAH's Messenger is senior to me though I preceded him in birth

Jamia Tiirmidhi , 3639 ( Hasan)


Note: Allahu Akbar, Scholar says, even the Sahabi Qubath ibn Ashyam Radi-Allahu-Anhu was elder than Prophet peace be upon him yet he said due to respect that ALLAH's Messenger Peace be upon him is senior to me though I preceded him in birth.


 Post By: Mubasher

Post a Comment

0 Comments