Hadith: Marhum ya murdo ki taraf se sadqa karney par unhey uska fayda milta hai

Hadith: Marhum ya murdo ki taraf se sadqa karney par unhey uska fayda milta hai... (Sadqa behalf of Died person... will provide benefit to them )


 Sad bin 'Ubada Radiallahu anhu ki Maa ka jab inteqal hua to wo unki khidmat mein mojud nahi they unhoney aakar Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se farmaya, ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam meri walida ka jab inteqal hua to main unki khidmat mein hazir nahi tha, agar main koi cheez sadqa karu to us sey unhey fayda pahunch sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, unhoney kaha main Aapko gawah banata hun mera Makhraf naam ka baag unki taraf se sadqa hai.
 Sahih Bukhari, 2756

 Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Ek Sahabi ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha ki meri walidako achnak maut aa gayee mera khayal hai ki agar unhey baat karney ka mauka milta to wo sadqa karti to kya main unki taraf se khairat kar sakta hun Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki haan unki taraf se khairat kar. (Sahih Bukhari, 2760) 




 
English Translation:
 
Narrated Ibn 'Abbas Radiallahu anhu: The mother of sad bin 'Ubada Radiallahu anhu died in his absence. He said, "O Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam! My mother died in my absence; will it be of any benefit for her if I give Sadaqa on her behalf?" The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Yes," Sad said, "I make you a witness that I gave my garden called Al Makhraf in charity on her behalf." 
 Sahih Bukhari, Vol 4, Book 51, No. 19: 


 Narrated 'Aisha Radiallahu anhu: A man said to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam, "My mother died suddenly, and I think that if she could speak, she would have given in charity. May I give in charity on her behalf?" He said, "Yes! Give in charity on her behalf." 
 Sahih Bukhari, Vol 4, Book 51, No. 22:
 


Post By: Mubasher

Post a Comment

0 Comments