Hadith: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Miswak se Muhabbat


Hadith: Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Miswak se Muhabbat

Zayd ibn Khalid al-Juhani Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya agar mujhe apni ummat ke Dushwari mein parh janey ka khauff na hota to main unko har Namaz ke liye Miswak karney ka hukm deta Abu Salmah Radi Allahu Anhu kahtey hain ki Mainey Zayd bin Khalid ko dekha ki wo Namaz ke intezarmein baithey rahtey they aur miswak unkey kaaan par us jagah rakhi rahti thi jahan katib ke kaan par Qalam rakha rahta hai wo jab bhi namaz ke liye khadey hotey to Miswak kartey
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 47
Aaysha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ke liye Wudhu ka pani aur Miswak rakh di jati thi, jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam raat mein baidar hotey they to pahley istinja ke liye tashreef le jatey iskey baad wapas aakar miswak kartey they. Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam jab bhi so kar uthtey chahey raat mein ya chahey din mein to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Wudhu se pahley Miswak jarur kartey
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 55,56
*******************************************
English Translation:
Hadith: Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam's Love with tooth Stick (Siwak)
Narrated Zayd ibn Khalid al-Juhani Radi Allahu Anhu : I heard the Apostle of Allah peace_be_upon_him say: Were it not hard on my ummah, I would order them to use the tooth-stick at the time of every prayer. AbuSalamah said: Zayd ibn Khalid used to attend the prayers in the mosque with his tooth-stick on his ear where a clerk carries a pen, and whenever he got up for prayer he used it.
Sunan Abu Dawud, Book 1, Number 0047
Narrated Ummul Mu'minin Aisha Radi Allahu Anhu : Ablution water and tooth-stick were placed by the side of the Prophet (peace_be_upon_him). When he got up during the night (for prayer), he relieved himself, then he used the tooth-stick. The Prophet peace_be_upon_him did not get up after sleeping by night or by day without using the tooth-stick before performing ablution.
Sunan Abu Dawud, Book 1, Number 0055,56

 Post By: Mubasher

Post a Comment

1 Comments

  1. Subhanallah, Very Informative Blog. I really appreciated, having the chance to read, what you had to say here and, I’m looking forward to reading what other readers have to share.

    Deenwise is the most ‘Comprehensive’ Islamic app featuring everything that a Muslim needs in their day to day life.

    Everyone can download it from: Google Play

    ReplyDelete